|
Tumhara ishq tumhari wafa |
Wo mere qareeb aye
Wo mere qareeb aye
Us ne mera hath thama aur kaha
Tumhara hath kitna garm hai
Aur garm hath ???
Wafa ki nishani hote hain
Mai bohat khush hua
Aur yeh bhul gaya
Ab yaad aa raha hai us ka hath
Kitna sard tha.
Tumhara ishq tumhari wafa
Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamam umer yehi aasra hi kaafi hai ...
Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura daina,
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ...
Mujhe bahar ke mausam se kuch nahi laina,
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai..
yeh log kon si manzil ki baat karte hain
musafiron ke liye to raasta hi kaafi hai ...
tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai .. |
|
| |
| It is always a pleasure to hear from friends and lover of Ghazals. Feel free to contact us with suggestions, comments and corrections. |
| |
|
|
|