|
Short Ghazal - Page 6 |
|
Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.
GHAM KO BECHKAR KHUSHI KHAREED LENGE.
KHWAB BECHKAR ZINDAGI KHAREED LENGE.
HOGA IMTIHAAN TO DEKHE GI DUNIYA.
KHUD KO BECH KAR AAP KI KHUSHI KHAREED LENGE.
Chidiya ko dekha to mann gud gudaya
apne azaad hone ka khyal mann ko bhaya
kyu na mein b par faila kar udd jau kahin door
fir achanak hi khud ko rishto me bandha hua paya.
Unki yaad aaye toh dil kya kare,
Yaad dil se na jaye toh dil kya kare,
Socha tha sapno me mulaqath hogi magar,
Neend hi na aaye toh dil kya kare.
Chand suraj ki tarah tum motbar ho jaaoge,
shairon se dosti karlo amar ho jaaoge.
Kitni raatein beet gayi, kitne din beet gaye,
Bas beeta nahi to yaadon ka wo Pal,
Wo guzra hua kal, beeti nahi to
aankhon ki nami aur zindagi mein unki kami.
Darte hai aag se kahin jal na jaye
darte hai khwab say kahin toot na jaye
lekin sub say zyada dartey hai is baat se
kay aap hame kahin bhool na jaye
Ek lamha ek manjar gujar jata hai,
Jab apna koi begana najar ata hai..
Yu to awaz Aati hai har shishe ke tUtne ki,
Par kabhi bin awaz ke sab kuch toot jata hai !
Hum mitti ke aashiyane banate chale gaye,
Bana bana ke unhe mitate chale gaye,
Hamein kisi ne na apna banaya,
Hum har kisi ko apna banate chale gaye......
|
|
| |
It is always a pleasure to hear from friends and lover of Ghazals. Feel free to contact us with suggestions, comments and corrections.
|
| |
|
|