|
Dard-E-Dil :- Hai Dua Yaad Magar |
Hey dua yaad magar hurf-e-dua yaad naheen
merey naghmaat ko andaz-e-nawa yaad naheen,
hum ney jin k liye rahoon main bichhaya tha lahoo
hum sey kehtey hain wahi ehd-e-wafa yaad naheen,
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kati hey
janey kis jurm ki paiy hey saza yaad naheen,
main ney palkoon sey darr-e-yaar peh dastak di hey
main woh saail hoon jisey koi sada yaad naheen,
kaisey bhar aaeenn sar-e-shaam kici ki aankhain
kaisey tharraiy chiraghon ki zia yaad naheen,
sirf dhund-latey sitarey ki chamak dekhi hey
kab hoa kon hoa mujh sey juda yaad naheen
aao ik sajdah karain aalam-e-madhooshi main
log kehtey hain k Saghar ko Khuda yaad naheen. |
|
| |
| It is always a pleasure to hear from friends and lover of Ghazals. Feel free to contact us with suggestions, comments and corrections. |
| |
|
|