|
Dard-E-Dil :- faqat aik khowab |
faqat aik khowab ki chah main har haqeeqat bhula dee hum nay
ab sochtay hain kyun khud ko yeh saza dee hum nay
dono hee qaid rahay apni an'a kay hisaar main
na us nay murh ke daikha na sada dee hum nay
is umeed pe ke kabhi to shab-e-gham ki bhi sahar ho gee
tamaam umar teeragi main hee bita dee hum nay
rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayaar kay
wohi dushman-e-jaan hoa jisay dil main jagah dee hum nay
Ahl-e-dunia dushmani janay kis tor nibha laitay hain
ik dosti nibhanay main umar ganwa dee hum nay
zindagi pahlay bhi kuch itni sahal nahi thee
phir tujhay chah ke aur bhi kathin bana li hum nay
un ko bhi ho khabar yah zaroori to nahi
jin ki khatir apni hasti tak mita dee hum nay
us kay laut kar aanay ka koi waada tha na umeed
janay kyoon phir woh raah har shaam taki hum nay! |
|
| It is always a pleasure to hear from friends and lover of Ghazals. Feel free to contact us with suggestions, comments and corrections. |
| |
|
|