Chalo kaheen duur yeh samaj choor deen
Duniya ki rasmoriwaj toor deen
Sab se nirali ho humari daastaan
Pyaar ki kahaniyon k rukh moor deen
Tum se hi meri zindagi hay meri jaan
Tum ne sajaya aarzuon ka jahan
Muj se hamesha yunhi rahna maherbaan
Tum na badalna lakh badle yeh jahan
Dil pe zamane ka na pahira ho jahan
A ja basa leen apni duniya hum wahan
Asi fazaoon main bana leen aashiyan
Apni zameen ho aur apna aasmaan
Chalo kaheen dur.
|